Hum To Kahte The Dam-e-aKHir Zara Susta Na Ja

hum to kahte the dam-e-aKHir zara susta na ja

le, chale hum jaan se, muKHtar hai ab ja na ja

le dil-e-betab aata hai wo kar le arz-e-haal

dekhte hi us ki surat is qadar ghabra na ja

tang ho kar kis ada se wasl ki shab ko wo shoKH

mujh se kahta tha ki he he is qadar lipTa na ja

pas aana gar nahin manzur to aa aa ke shakl

az-rah-e-shoKHi mujhe tu dur se dikhla na ja

jaun jaun kya kahe hai bas laDai ho chuki

pyar se mere gale ab jaan-e-jaan lag ja na ja

kya saman rakhta hai wo mahfil se uThna yar ka

aur ishaaron se mera kahna ki aa jaana, na ja

kahte hain aata hai wo ai jaan bar-lab-amada

tu KHuda ke waste Tuk aur bhi rah ja na ja

ruTh kar jab mujh se wo jata hai to kar zabt-e-ah

pahle to kahta hun main tu jaan ab ja ya na ja

lek uTh kar jab wo jata hai to be-tabi se main

wun hi kahta hun tire qurban jaun aa, na ja

loTta hai 'jurat'-e-betab jaane se tere

yun use taDpa ke tu ai shoKH-e-be-parwa, na ja

(1196) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Kahte The Dam-e-aKHir Zara Susta Na Ja In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Hum To Kahte The Dam-e-aKHir Zara Susta Na Ja is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Hum To Kahte The Dam-e-aKHir Zara Susta Na Ja for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Hum To Kahte The Dam-e-aKHir Zara Susta Na Ja in PDF.