Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein

jazba-e-ishq ajab sair dikhata hai hamein

apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein

bazm mein takte hain munh us ka khaDe aur wo shoKH

na uThata hai kisi ko na biThata hai hamein

kya sitam hai ki tariq apna rah-e-ishq mein aah

koi jis ko nahin bhata wo hi bhata hai hamein

is taraqqi mein tanazzul mein hai ki jun qamat-e-tifl

aasman umr ghTane ko baDhata hai hamein

band kar baiThe hain ab aankh jo hum to allah

nazar aata jo nahin so nazar aata hai hamein

ThanDe hone ka bhi ta samjhen maza itne liye

charKH manind-e-charagh aah jalata hai hamein

ai KHusha ye ki wo hansne ke liye rota hai

apni KHursandi-e-KHatir ko kuDhata hai hamein

mil ke hum us se jo Tuk sowen to dukh dene ko

baKHt-e-bad KHwab judai ka dikhata hai hamein

hum hain wo murgh-e-giraftar ki apne par se

warna jis ko ki howe wo chhuData hai hamein

la ke us shoKH-e-sitamgar ke do-rangi ke payam

na hansata hai koi ab na rulata hai hamein

san se ja baiThte hain us ke tasawwur mein hum aah

bazm-e-KHuban mein koi pas bulata hai hamein

mahw-e-nazzara hon kya hum ki ba-qaul-e-'jurat'

apni jaanib koi khinche liye jata hai hamein

(1378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Jazba-e-ishq Ajab Sair Dikhata Hai Hamein in PDF.