Jigar KHun Ho Ke Bahar Dida-e-giryan Aawega

jigar KHun ho ke bahar dida-e-giryan aawega

yahi rona raha to aaj-kal tufan aawega

KHabar aate hi puchhe hai zalim baiTh ja yak-dam

haqiqat sab kahunga mujh mein jab ausan aawega

na hai ab KHak-afshani na hairani na uryani

junun gar aa gaya to le ke sab saman aawega

paDhunga pichhe nama mein KHuda ke waste qasid

ye kah awwal ki yan tak wo kisi unwan aawega

na ja ai jaan Tuk tu aur bhi ek raat is tan se

suna hai kal ke din wo ghar mere mehman aawega

kisi ki qadar jite-ji nahin malum hoti hai

kare hai qatl par pichhe tujhe arman aawega

gali mein us but-e-KHun-KHwar ki 'jurat' chala to hai

wa-lekin wan se KHun mein dekhna afshan aawega

(1026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jigar KHun Ho Ke Bahar Dida-e-giryan Aawega In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Jigar KHun Ho Ke Bahar Dida-e-giryan Aawega is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Jigar KHun Ho Ke Bahar Dida-e-giryan Aawega for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Jigar KHun Ho Ke Bahar Dida-e-giryan Aawega in PDF.