Jo Roen Dard-e-dil Se Tilmila Kar

jo roen dard-e-dil se tilmila kar

to wo hansta hai kya kya khilkhila kar

yahi dekha ki uThwae gae bas

jo dekha Tuk udhar ko aankh uTha kar

bhala dekhen ye kin aankhon se kyun ji

kisi ko dekhna hum ko dikha kar

khaDa rahne na den wo ab ki jo shaKHs

uThate the maze hum ko biTha kar

gaya wo dil bhi pahlu se ki jis ko

kabhi rote the chhati se laga kar

chali jati hai tu ai umr-e-rafta

ye hum ko kis musibat mein phansa kar

KHat aaya wan se aisa jis se apna

nawishta KHub samjhe hum paDha kar

abhi ghar se nahin nikla wo tis par

chala ghar-bar ek aalam luTa kar

diya dhaDka use kuchh wasl mein hae

bigaDi baat gardun ne bana kar

mohabbat in dino jo ghaT gai wan

to kuchh pate nahin us pas ja kar

magar hum shauq ke ghalbe se har bar

KHajil hote hain hath apna baDha kar

nahin munh se nikalti us ke kuchh baat

kisi ne kya kaha 'jurat' se aa kar

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Roen Dard-e-dil Se Tilmila Kar In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Jo Roen Dard-e-dil Se Tilmila Kar is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Jo Roen Dard-e-dil Se Tilmila Kar for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Jo Roen Dard-e-dil Se Tilmila Kar in PDF.