Josh-e-girya Ye Dam-e-ruKHsat-e-yar Aae Nazar

josh-e-girya ye dam-e-ruKHsat-e-yar aae nazar

abr-e-joshan ka bandha jaise ki tar aae nazar

rang-e-gulzar jahan garche hazar aae nazar

chain par dil ko kahan taki na yar aae nazar

apna jab ku-e-tasawwur mein guzar aae nazar

jis taraf dekhen udhar surat-e-yar aae nazar

hun main kis ghairat-e-gulzar ka zaKHmi ki mere

har bun-e-mu pe gul-e-zaKHm hazar aae nazar

bin paDhe phaD ke KHat rakh de jo wo rauzan mein

jun qalam sina mera kyun na figar aae nazar

ham-suKHan jis se na ho sakiye phir us shoKH se aah!

aur kuchh baat ka kab dar-o-madar aae nazar

ho jahan jumbish-e-lab ka bhi na yara ai wae

munh kahan ye ki jo wan bos-o-kanar aae nazar

hum dil-afroKHta wan jun sharar-e-sang hain aah

na jahan paik-e-saba ka bhi guzar aae nazar

sar-bulandi jinhen de charKH na de chain unhen

ki ba-gardish mah-o-KHur lail-o-nahaar aae nazar

jab ki har roz kaTin wade pe ghaDiyan ginte

kyun na har din hamein phir roz-e-shumar aae nazar

us ke mahram pe bhabuka si jo dekhun chiDiya

kyun na jun tair-e-simab qarar aae nazar

ho ba-sad-rang shagufta lab-e-dariya pe wo bagh

har rawish jis mein ki bas lutf-e-hazar aae nazar

chaar su naghma-sarai mein hon murghan-e-chaman

shaKH-dar-shaKH ajaib gul-o-bar aae nazar

mauj-e-dariya idhar aTkheli ki chaalen dikhlae

aur udhar raqs-kunan baad-e-bahaar aae nazar

howe atraf se ghanghor ghaTa ghir aai

kaund bijli ki ho aur paDti phuwar aae nazar

ek taraf mor munDeron pe karen kya kya shor

ek taraf abr mein baglon ki qatar aae nazar

gardish-e-jam ho jun gardish-e-chashman-e-butan

hath mein mutrib-e-sar-KHush ke sitar aae nazar

lab-ba-lab sina-ba-sina jise chahen wo ho

gulshan-e-zist ki tab hum ko bahaar aae nazar

aashiqana ghazal ab paDh koi 'jurat' tah-dar

mani-e-taza bhi ta yaron ko yar aae nazar

(1311) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Josh-e-girya Ye Dam-e-ruKHsat-e-yar Aae Nazar In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Josh-e-girya Ye Dam-e-ruKHsat-e-yar Aae Nazar is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Josh-e-girya Ye Dam-e-ruKHsat-e-yar Aae Nazar for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Josh-e-girya Ye Dam-e-ruKHsat-e-yar Aae Nazar in PDF.