Kab Koi Tujh Sa Aaina-ru Yan Hai Dusra

kab koi tujh sa aaina-ru yan hai dusra

hai tu tera hi aks numayan hai dusra

puchh us ki mat KHabar jise naseh siye tha to

wo dhajjiyan uDa ye gareban hai dusra

shakl un ki ye hai jo ki hain mahw-e-jamal-e-yar

shashdar khaDa hai ek to hairan hai dusra

ruKH us ka dekhiyo shab-e-mahtab mein koi

goya zamin pe ye mah-e-taban hai dusra

kya dil jigar ki kahiye tamanna-e-wasl mein

hasrat bhara hai ek pur-arman hai dusra

wadi-e-ishq mein hamein barson yun hi kaTe

ek dasht tai kiya ki bayaban hai dusra

tere KHiram-e-naz ke sadqe ki kab koi

aisa chaman mein sarw-KHiraman hai dusra

gham-KHwar-o-munis ab tere bimar ke hain yun

taskin ek de to hirasan hai dusra

'jurat' ghazal paDh aur ek aisi ki sab kahen

kab is tarah ka koi ghazal-KHwan hai dusra

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Koi Tujh Sa Aaina-ru Yan Hai Dusra In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Kab Koi Tujh Sa Aaina-ru Yan Hai Dusra is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Kab Koi Tujh Sa Aaina-ru Yan Hai Dusra for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Kab Koi Tujh Sa Aaina-ru Yan Hai Dusra in PDF.