Kuchh Munh Se Dene Kah Wo Bahane Se UTh Gaya

kuchh munh se dene kah wo bahane se uTh gaya

harf-e-saKHawat aah zamane se uTh gaya

hai us ke dekhne ki hawas kya ghazab ki aah

jo tund-KHu Tuk aankh uThane se uTh gaya

puchhi jo us se main dil-e-sad-chaak ki KHabar

uljha ke apni zulf wo shane se uTh gaya

kahiyo saba jo howe guzar yar ki taraf

dil sab taraf se aap ke jaane se uTh gaya

paya jo muztarib mujhe mahfil mein to wahin

sharma ke kuchh wo apne-begane se uTh gaya

hota tha apne jaane se jis ko qalaq so hae

ghabra ke aaj kya mere aane se uTh gaya

hamdam na mujh ko qissa-e-aish-o-tarab suna

muddat se dil kuchh aise fasane se uTh gaya

jab tak tu aae aae ki duniya hi se koi

le jaan tere der lagane se uTh gaya

'jurat' hum is zamin mein kahte hain aur sher

har-chand ji suKHan ke baDhane se uTh gaya

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Munh Se Dene Kah Wo Bahane Se UTh Gaya In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Kuchh Munh Se Dene Kah Wo Bahane Se UTh Gaya is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Kuchh Munh Se Dene Kah Wo Bahane Se UTh Gaya for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Kuchh Munh Se Dene Kah Wo Bahane Se UTh Gaya in PDF.