Kyun Na Hun Hairan Teri Har Baat Ka

kyun na hun hairan teri har baat ka

husn muraqqa hai tilismat ka

roun to KHush ho ke piye hai wo mai

samjhe hai mausam ise barsat ka

uThti jawani jo hai to din-ba-din

aur hi aalam hai kuchh is gat ka

ghar mein bulaya hai to kuchh munh se do

sikho ye Dhab hum se mudaraat ka

shaiKH jawan hoga tu pi dekh ise

shishe mein pani hai karamat ka

hum na milen tum se to nikle hai jaan

aur tumhein aalam hai musawat ka

us ne ki ab kam-suKHani iKHtiyar

jis ko maza tha meri har baat ka

aankh bhi milti hai to na-ashna

ab wo kahan lutf ishaaraat ka

rone ki ja hai sun ise ham-nashin

tu to hai mahram mere auqat ka

hukm hua raat ko aao na yan

din ko rakho taur mulaqat ka

dil ke aTakte hi hua hai sitam

farq mulaqat mein din raat ka

baat nai sujhe hai 'jurat' tujhe

main to hun aashiq teri is baat ka

(2034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Na Hun Hairan Teri Har Baat Ka In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Kyun Na Hun Hairan Teri Har Baat Ka is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Kyun Na Hun Hairan Teri Har Baat Ka for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Kyun Na Hun Hairan Teri Har Baat Ka in PDF.