Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun

kyunkar gali mein is ki main ai ham-rahan rahun

is aarzu-e-dil pe hai wan to na han na hun

pata hun main jahan use hote hain wan muKHil

hairan hun ab ki raaz-e-dil us se kahan kahun

bas band kar zaban ki sune ai zaban-daraaz

kab tak teri zaban se koi kam zaban-zubun

shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgar dil mera

aaKHir hua ba-dosti-e-dil-baran barun

zahir hai qatl-e-ashiq-e-muztar ki KHun se surKH

hai qasr-e-KHana ka tere ai dil-sitan sutun

qail ba-dil hun tab amal-e-hub ka main ki jab

us shoKH se ba-jadd-o-kad-e-amilan milun

be-yar jab lage mujhe zindan se ghar batar

barbaad kyunki ishq mein phir KHandan na dun

kya KHak aab-dari-e-tegh us se ho ki hai

wo chashm-e-surma-sa jo ba-sang-e-fasan fusun

'jurat' zi-bas hain ahl-e-jahan harf-e-na-shunu

daKHil suKHan main kyunki ba-gosh-e-giran karun

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun in PDF.