Lab O Dandan Ka Tumhaare Jo Hai Dhyan AaTh Pahar

lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar

nahin lagti meri talu se zaban aaTh pahar

rawish-e-sair wo gulshan mein jo Tuk ja baiThe

bulbulen gul ke uThaya karen kan aaTh pahar

dar se ab nikle wo kyun us ko to ye hai manzur

ki nikalti hi kisi ki rahe jaan aaTh pahar

kyun-ki KHun-rez rahe tez na wo tegh-e-nigah

sang-e-surma se chaDha karti hai san aaTh pahar

kahte hain sab tere aashiq ko ki shayad ai wae

hai giraftar-e-musibat ye jawan aaTh pahar

dil ke lagne se ye dekha ki lage rahte hum aah

KHud-baKHud muztarib-ul-haal nadan aaTh pahar

jis ka hai dhyan hamein us ko bhi apna hai KHayal

wae ghaflat ki ye hum ko hai guman aaTh pahar

husn-e-KHubi-e-butan kuchh na ada ho ba-KHuda

kije gar lakh baras tak ye bayan aaTh pahar

turfa us jins-e-mohabbat ka bhi sauda dekha

sud mein jis ke rahe KHauf-e-ziyan aaTh pahar

jab se hai hum se juda aah wo rashk-e-mah-o-mahr

munh lapeTe hain bas aur hai yahi dhyan aaTh pahar

raat ko raat samajhte hain na hum din ko din

apni aankhon mein hai tarik jahan aaTh pahar

in dinon aap mein tujh ko kabhi pate hi nahin

kis ka rahta hai ye 'jurat' tujhe dhyan aaTh pahar

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab O Dandan Ka Tumhaare Jo Hai Dhyan AaTh Pahar In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Lab O Dandan Ka Tumhaare Jo Hai Dhyan AaTh Pahar is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Lab O Dandan Ka Tumhaare Jo Hai Dhyan AaTh Pahar for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Lab O Dandan Ka Tumhaare Jo Hai Dhyan AaTh Pahar in PDF.