Main Kaha Ek Ada Kar To Laga Kahne Un-hun

main kaha ek ada kar to laga kahne un-hun

dekh Tuk aankh chura kar to laga kahne un-hun

sab se hansta tha wo kal, ro ke jo main bol uTha

hum se bhi Tuk tu hansa kar to laga kahne un-hun

main kaha dil ko main le jaun to bola wo ki hun

le chala jab main uTha kar to laga kahne un-hun

main kaha sabr o dil o din ne wafa hum se na ki

be-wafa tu to wafa kar to laga kahne un-hun

main kaha jam-e-mai pite ho to bola wo ki hun

jab kaha laun chhupa kar to laga kahne un-hun

main kaha sohbat-e-aghyar bari hai pyare

un se itna na mila kar to laga kahne un-hun

main kaha ishq ko izhaar karun bola hun

jab kaha kahta hun ja kar to laga kahne un-hun

main kaha samjhe hai aazar mera bola hun

jab kaha kuchh to dawa kar to laga kahne un-hun

main kaha ab teri duri se hai 'jurat' be-tab

kuchh to kah pas bala kar to laga kahne un-hun

(1638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kaha Ek Ada Kar To Laga Kahne Un-hun In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Main Kaha Ek Ada Kar To Laga Kahne Un-hun is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Main Kaha Ek Ada Kar To Laga Kahne Un-hun for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Main Kaha Ek Ada Kar To Laga Kahne Un-hun in PDF.