Matlab Ki Kah Sunaun Kisi Baat Mein Laga

matlab ki kah sunaun kisi baat mein laga

rahta hun roz-o-shab mein isi ghat mein laga

mahfil mein muztarib sa ju dekha mujhe to bas

kahne kisi se kuchh wo ishaaraat mein laga

hote hi wasl kuchh KHafaqan sa use hua

dhaDka ye be-tarah ka mulaqat mein laga

kal raat hum se us ne to puchhi na baat bhi

ghairon ki yan talak wo mudaraat mein laga

aaya hai abr ghir ke ab aane mein saqiya

tu bhi na der mausam-e-barsat mein laga

masjid mein sar-ba-sajda hue hum to kya ki hai

kam-baKHt dil to bazm-e-KHarabaat mein laga

ghaTTe pe apne mathe ki nazan jo ab hue

ye dagh shaiKH-ji ke karamat mein laga

gar mujh ko karKHana-e-taqdir mein ho daKHl

roz-e-qayam wasl ki dun raat mein laga

parwaz ta-ba-arsh agar tu ne ki to kya

sayyaad-e-marg hai teri nit ghat mein laga

waqt-e-aKHir aae tere kaam jo dila

ab dhyan-gyan apna us auqat mein laga

'jurat' hamari baat pe aaya na yan tu aah

kya jaaniye kisi ki wo kis baat mein laga

(1384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Matlab Ki Kah Sunaun Kisi Baat Mein Laga In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Matlab Ki Kah Sunaun Kisi Baat Mein Laga is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Matlab Ki Kah Sunaun Kisi Baat Mein Laga for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Matlab Ki Kah Sunaun Kisi Baat Mein Laga in PDF.