Misl-e-aina Ba-safa Hain Hum

misl-e-aina ba-safa hain hum

dekhne hi ke aashna hain hum

nahin donon jahan se kaam hamein

ek faqat tere mubtala hain hum

dekh sae ki tarah ai pyare

sath tere hain aur juda hain hum

Tuk tu kar rahm ai but-e-be-raham

aaKHirash banda-e-KHuda hain hum

zulm par aur zulm karte ho

is qadar qabil-e-jafa hain hum

jun saba nam ko to hain hum log

lek dekha to ja-ba-ja hain hum

zulfen kahti hain us ki, aashiq ke

mar lene ko to bala hain hum

jab se paida hue hain jun aflak

aah gardish hi mein sada hain hum

hum bhi kuchh chiz hain miyan lekin

ye nahin jaante ki kya hain hum

shoala-e-na-tawan ki manind

hath mein tere ai saba hain hum

gar yahi hai hawa yahan ki to aah

ab koi aan mein hawa hain hum

tu jo kahta hai har ghaDi tere

dekhne se bahut KHafa hain hum

kya karen yar tu hi kar insaf

tujh pe mail nahin hain ya hain hum

dil ke hathon se ai miyan 'jurat'

zindagani se bhi KHafa hain hum

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misl-e-aina Ba-safa Hain Hum In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Misl-e-aina Ba-safa Hain Hum is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Misl-e-aina Ba-safa Hain Hum for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Misl-e-aina Ba-safa Hain Hum in PDF.