Na Garmi Rakhe Koi Us Se KHudaya

na garmi rakhe koi us se KHudaya

shararat se ji jis ne mera jalaya

na bechain ho koi ab us ki KHatir

mera chahna jo na KHatir mein laya

baham dekh do shaKHs ho wo bhi muztar

akela main jis ke liye tilmilaya

phire justuju mein na ab koi us ki

mujhe jis ne galiyon mein barson phiraya

na bhule se yaad ab kare koi us ko

mera yaad karna bhi jis ne bhulaya

na KHush ho ab us pas baiThe se koi

hamein kar ke aazurda jis ne uThaya

KHaridar paida na ho koi us ka

ki dil bech kar hum ne dukh jis se paya

tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne

hamein kar ke hairan na mukhDa dikhaya

lage lag us se kisi ki na ya-rab

hamari lagi ko na jis ne bujhaya

kahun dastan main gar apni aur us ki

to hairan ho sun ke apna paraya

ki pahle ki izhaar KHud us ne ulfat

na aaya to sau bar ghar se bulaya

jatain wo baaten jinhen sehr kahiye

dikhaya wo aalam ki wahshi banaya

rakhi be-takalluf mulaqat chande

ba-mannat mujhe pas pahron biThaya

kisi ka na ek harf KHatir mein guzra

use garche logon ne kya kya paDhaya

so ab wo jhalak tak dikhata nahin hai

gaya main jo ghar se to dar tak na aaya

lagawaT ye kuchh kar ke phir kya ghazab hai

mera lag gaya dil to parda lagaya

ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah

ki ye turfa mazmun tu ne sunaya

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Garmi Rakhe Koi Us Se KHudaya In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Na Garmi Rakhe Koi Us Se KHudaya is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Na Garmi Rakhe Koi Us Se KHudaya for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Na Garmi Rakhe Koi Us Se KHudaya in PDF.