Raat Jab Tak Mere Pahlu Mein Wo Dildar Na Tha

raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha

dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokar na tha

gird us kuche ke kis din ye gunahgar na tha

wae hasrat ki koi raKHna ba-diwar na tha

kal to bimar ko tha tere na bistar pe qarar

aaj bistar tha faqat aur wo bimar na tha

shukr ai baad-e-fana jun shajar-e-soKHta main

tha to gulshan mein wale qabil-e-gulzar na tha

nahin til dharne ki jagah jo ba-afzuni-e-husn

dekha shab us ko to ek KHal ba-ruKHsar na tha

raat kya baat thi batla tere sadqe jaun

aahen bharna wo tera KHali-az-asrar na tha

dil ko dhar nok-e-sinan par wo ye bola hans ke

hum ne mansur ko dekha ba-sar-e-dar na tha

bahs mein chashm-e-tar-o-abr ki kal tha jo saman

kabhi is shakl se rone ka bandha tar na tha

zabh hum samne hote hi hue qatil ke

bawajude-ki koi hath mein hathiyar na tha

baad murdan mere tabut pe sab rote the

chashm-e-pur-ab magar ek wo sitamgar na tha

lek kya munh ko chhupata tha jo kahte the ye log

us ko zahir mein to marne ka kuchh aazar na tha

taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab

reKHta ye jo paDha qabil-e-izhaar na tha

(2159) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Jab Tak Mere Pahlu Mein Wo Dildar Na Tha In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Raat Jab Tak Mere Pahlu Mein Wo Dildar Na Tha is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Raat Jab Tak Mere Pahlu Mein Wo Dildar Na Tha for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Raat Jab Tak Mere Pahlu Mein Wo Dildar Na Tha in PDF.