Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya

sach to ye hai be-jagah rabt in dinon paida kiya

soch hai har dam yahi hum ko ki hum ne kya kiya

wo gaya uTh kar jidhar ko main adhar hairan sa

us ke jaane par bhi kitni der tak dekha kiya

meri aur us shoKH ki sahib-salamat jo hui

sabr o taqat ne kaha lo hum ne to mujra kiya

sair-e-gul karta tha wo aur aah betabi se main

har taraf gulshan mein jun aab-e-rawan dauDa kiya

jab talak karte rahe mazkura us ka mujh se log

ji mein kuchh socha kiya main aur dil dhaDka kiya

dard-e-dil kahna mera shayad ki us ne sun liya

warna kyun mujh ko dharaata hai bhala achchha kiya

dam-ba-dam hasrat se dekhun kyun na su-e-charKH main

us ne auron ka kiya us ko hamein jis ka kiya

dil mile par bhi milap aisi jagah hote rahe

jo idhar taDpa kiye hum wo udhar taDpa kiya

mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab

umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiya

bas ki hai wo shohra-e-afaq us ke waste

ye dil-e-diwana kis kis shaKHs se jhagDa kiya

sozish-e-dil kya kahun main jab talak jita raha

ek angara sa pahlu mein mere dahka kiya

ishq-bazi mein kaha 'jurat' ko sab ne dekh kar

ye aziz apni hamesha jaan par khela kiya

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya in PDF.