Shab-e-hijran Mein Mat Puchho Ki Kin Baaton Mein Rahta Hun

shab-e-hijran mein mat puchho ki kin baaton mein rahta hun

tasawwur bandh us ka subh tak kuchh kuchh main kahta hun

jo dekho ghaur kar to juz o kul bilkul mujhi mein hai

kabhi hun ek hubab-asa kabhi dariya ho bahta hun

tere rukne se pyare bas mera dam rukne lagta hai

nahin to bolta tu boliyan kin kin ki sahta hun

nahin milti hai fursat ghair use ghere hi rahte hain

kahun kuchh haal-e-dil bas DhunDhta itna subahta hun

ye josh-e-ashk ne tufan uThaya hai ki ai 'jurat'

kahe hai kishwar-e-tan mein tu koi dam ko Dhahta hun

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-hijran Mein Mat Puchho Ki Kin Baaton Mein Rahta Hun In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Shab-e-hijran Mein Mat Puchho Ki Kin Baaton Mein Rahta Hun is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Shab-e-hijran Mein Mat Puchho Ki Kin Baaton Mein Rahta Hun for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Shab-e-hijran Mein Mat Puchho Ki Kin Baaton Mein Rahta Hun in PDF.