Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha

shab-e-wasl dekhi jo KHwab mein to sahar ko sina figar tha

yahi bas KHayal tha dam-ba-dam ki abhi to pas wo yar tha

jo na tha wo ghairat-e-gulsitan to karun ab us ka main kya bayan

ki alam judai ka har zaman mere ek dil pe hazar tha

shab-e-hijr ke kahen kya alam nazar aae subh ko bahte yam

ki ba-josh-e-barish-e-abr-e-gham pe bandha sarishk ka tar tha

tap-e-gham se tha jo jala-bala mere sine mein dil-e-mubtala

so dhuan ho yun wo hawa hua ki na shoala tha na sharar tha

kabhi dast-e-zulf se the baham kabhi ruKH ke lete the bose hum

shab-o-roz ab to hai dard-o-gham kabhi wun bhi lail-o-nahaar tha

jise yaad apni lagaiye use saf dil se bhulaiye

Tuk idhar to aankh milaiye yahi hum se qaul-o-qarar tha

shab-e-hijr ab ye satae hai ki KHizan-e-marg dikhae hai

wo ruKH ab kahan nazar aae hai ki jo rashk-e-subh-e-bahaar tha

mujhe shab jo nashsha-e-gham chaDha to phira kiya main khaDa khaDa

raha ghash mein subh ko jo paDa usi kaif ka ye utar tha

hui hairat ab jo do-chand yan karun aur wajh main kya bayan

ruKH-e-yar subh ko mahr-san magar aaine se do-chaar tha

mujhe ek aashiq-e-KHasta ki kahin kal jo qabr nazar paDi

na kisi se koi lagae ji ye khuda ba-lauh-e-mazar tha

dam-e-qatl koi jo bol uTha to KHajil ho kya wo KHafa hua

use tum ne zabh abas kiya ye tumhaara shukr-guzar tha

koi naw bahr mein thi rawan kai us mein baiThe the mah-wishan

kahin us giroh ke darmiyan dur-e-naz bhi wo sawar tha

tu ba-mauj-e-partaw-e-mah sa kaho iztirab mein dil ka kya

kabhi par tha kabhi war tha kabhi war tha kabhi par tha

ghazal aur qafiye ko badal main sunaun yaron ko bar-mahal

hua muKHtasar na ba-yak ghazal ki baDa fasana-e-yar tha

(1661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Shab-e-wasl Dekhi Jo KHwab Mein To Sahar Ko Sina Figar Tha in PDF.