Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain

suno baat us ki ulfat ka baDhana is ko kahte hain

kaha shab KHwab mein aa kar ki aana is ko kahte hain

qadam wadi-e-wahshat-nak-e-ulfat mein rakha hum ne

hazar aafat ka sar par uThana is ko kahte hain

hamari baat kaTi ghair ki taid ki us ne

ghaTana is ko kahte hain baDhana is ko kahte hain

jo ruThe hum to bole be-dili se tum ki aa mil ja

idhar ko dekhiyo kyun ji manana is ko kahte hain

dil-e-muztar ke bais roz-o-shab rahte hain bas larzan

dar-o-diwar-e-KHana tilmilana is ko kahte hain

wo dushman apna samjhe hai ba-dil main dost hun jis ka

kahun kya aur par ulTa zamana is ko kahte hain

ye bole dekh sab taswir us ki aur meri yakja

pari-ru is ko kahte hain diwana is ko kahte hain

kiya hai shefta aalam ko apna us pari-ru ne

diwana ek jahan ko kar dikhana is ko kahte hain

ye chashm-e-gauhar-afshan hazrat-e-dil jalwa-farma hain

nikal ghar se dar-e-daulat pe aana is ko kahte hain

jo gulshan mein kisi ne dekh khilna ghuncha-e-gul ka

kaha bas aa ke yan lazzat uThana is ko kahte hain

tabassum kar ke yun mujh se kaha us shoKH ne o-be

idhar ko dekh ada se muskurana is ko kahte hain

ghazal aur is zamin mein paDhiye wo 'jurat' ki sun jis ko

kahen aashiq kalam-e-ashiqana is ko kahte hain

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Suno Baat Uski Ulfat Ka BaDhana Isko Kahte Hain in PDF.