Wan Hai Ye Bad-gumani Jawe Hijab Kyunkar

wan hai ye bad-gumani jawe hijab kyunkar

do din ke waste ho koi KHarab kyunkar

qasid jawab-e-KHat hum likh den shitab kyunkar

wan to jawab manga likhiye jawab kyunkar

KHwab-o-KHayal suna yan ho gaya hai jis bin

hairan hun main ki us ko aawe hai KHwab kyunkar

us sabza-rang ki hai garmi-e-husn goya

chamke hai mahr dekho zer-e-sahab kyunkar

kahti hain chitwanen yun ban-Than ke jab wo nikle

ab dekhne ki dekhen lawega tab kyunkar

wo wasl mein bhi hans hans puchhe hai lo batao

kal roengi tumhaari chashm-e-pur-ab kyunkar

dil jis se lag gaya hai wo chhup raha hai hum se

dauDe phiren na har su pur-iztirab kyunkar

allah-re bhulapa munh dho ke KHud wo bole

sungho to ho gaya ye pani gulab kyunkar

chaalakiyon ko sun kar us ghairat-e-pari ki

gar ruk ke kahiye us ki hum laen tab kyunkar

to yun lage jatane miyan tum to ho diwane

rahne de hum ko nichla ahd-e-shabab kyunkar

awwal bhi KHak hi the aaKHir bhi KHak honge

har dam kahen na 'jurat' ya bu-turab kyunkar

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wan Hai Ye Bad-gumani Jawe Hijab Kyunkar In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Wan Hai Ye Bad-gumani Jawe Hijab Kyunkar is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Wan Hai Ye Bad-gumani Jawe Hijab Kyunkar for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Wan Hai Ye Bad-gumani Jawe Hijab Kyunkar in PDF.