Wasl Banne Ka Kuchh Banaw Nahin

wasl banne ka kuchh banaw nahin

wan laga dil jahan lagaw nahin

panw kyun dabne nahin dete

gar kisi ka tumhein dabaw nahin

zaKHm-e-dil ka ilaj kya kije

qabil-e-marham apna ghaw nahin

aise dariya mein bah chale hain ki aah!

jis mein Tapu nahin hai naw nahin

hai bahut jalwa-gah-e-yar buland

dekhen kya yan se kuchh dikhaw nahin

bal be teri sajawaTen allah

kuchh qayamat hai ye banaw nahin

dastaras wan zara nahin aur hae

dil mein kya kya hamare chaw nahin

le ke dil yun kahe hai chitwan mein

ab meri bazm mein tum aao nahin

dard-e-pinhan se ji hi nikle hai

kya kahen tum se kuchh chhupaw nahin

gar safar ko sidhaare ho to aao

ja ke wan chhawni tu chhaw nahin

kyunki 'jurat' lagaen hum lagga

ki farishte ka wan lagaw nahin

aur to aur chori chori se

baat kar lene ka bhi daw nahin

(1177) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Banne Ka Kuchh Banaw Nahin In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Wasl Banne Ka Kuchh Banaw Nahin is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Wasl Banne Ka Kuchh Banaw Nahin for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Wasl Banne Ka Kuchh Banaw Nahin in PDF.