Yaad Kar Wo Husn-e-sabz Aur AnkhDiyan Matwaliyan

yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan

kaTte hain ro hi ro sawan ki raaten kaliyan

shab tasawwur bandh kar us jumbish-e-mizhgan ka wah

KHud-baKHud kis kis maze se hum ne chhaDiyan kha liyan

dekhen kya un ki lachak us saad-e-nazuk baghair

khinchti hain kyun hamein kanTon mein gul ki Daliyan

kuchh na kuchh kar baiThta hun baat us ke bar-KHilaf

ta kisi surat wo de jhunjhla ke mujh ko galiyan

mah asir-e-haala us ka dekh baala kyun na ho

KHanda-zan hon mahr par jis ki jaDaw-baaliyan

shab ko jo us ka tasawwur bandh gaya to hum ne bas

us ke mukhDe ki balaen subh tak kya kya liyan

waqt-e-izhaar-e-wafa mahfil mein us ki jis se aankh

mil gai to bas wo sab baaten usi par Dhaaliyan

barg-e-gul un ko kahun ya para-e-yaqut wah

dekhiyo bin pan khae un labon ki laliyan

kucha-e-qatil ko gar musalaKH kahun to hai baja

jab na tab dekho to bahti hain lahu ki naliyan

KHun-e-dil aankhon mein bhar aata hai jab aati hai yaad

wo mai-e-gul-rang ki bhar bhar ke deni pyaliyan

tak-jhank us ki kahun kya main ki tifli mein bhi thin

us ke hathon ghar ki diwaron mein har su jaliyan

kash 'jurat' wasl ka din howe jaldi se nasib

hijr ki to khae jati hain ye raaten kaliyan

(938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Kar Wo Husn-e-sabz Aur AnkhDiyan Matwaliyan In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Yaad Kar Wo Husn-e-sabz Aur AnkhDiyan Matwaliyan is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Yaad Kar Wo Husn-e-sabz Aur AnkhDiyan Matwaliyan for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Yaad Kar Wo Husn-e-sabz Aur AnkhDiyan Matwaliyan in PDF.