Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra

yan us gali sa kab koi bustan hai dusra

han kuchh jo hai to rauza-e-rizwan hai dusra

har dam ye do adu hain pae-jaan-e-na-tawan

ek dard-e-ishq hai gham-e-hijran hai dusra

hai turfa jaan-o-dil ka dam-e-iztirab haal

roken jo ek ko to gurezan hai dusra

aaina jab wo dekhe to kahti hain chitwanen

sach hai ki hum sa kab koi insan hai dusra

wo ruk ke uTh chala to use kyunki rokiye

ek dast hai ba-dil ba-gareban hai dusra

us ghar ke dar pe jab hue hum KHak tab khula

darwaza aane jaane ko aur yan hai dusra

kya dil jigar ki us ki gali mein kahen KHabar

ek mar gaya ek aan ka mehman hai dusra

rahiye hamare dil mein ki laeq tumhaare kab

aisa makan ba-kishwar-e-dauran hai dusra

Tuk suniyo zamzame mere dil ke ki bagh mein

kab is tarah ka murgh-e-KHush-alhan hai dusra

hai turfa qismat apni ki jis ja ho ek dost

wan dekhiye to jaan ka KHwahan hai dusra

yani nashist Thahri kal us dar pe thi so hae

dekha jo aaj ja ke to darban hai dusra

yakta hai do jahan mein 'jurat' ali ki zat

aisa na koi yan na koi wan hai dusra

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Yan Us Gali Sa Kab Koi Bustan Hai Dusra in PDF.