Ye Ghazab BaiThe-biThae Tujh Pe Kya Nazil Hua

ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua

uTh chala duniya se kyun tu tujh ko ai dil kya hua

shakl hi aisi banai hai teri allah ne

mat KHafa ho gar hua main tujh pe mail kya hua

in dinon haalat teri pata hun main apni si yar

KHub-ru tujh sa koi tere muqabil kya hua

ai but-e-KHun-KHwar ek zaKHmi tere kuche mein tha

so kai din se KHuda jaane wo ghayal kya hua

zang ho kar qais ka dil karwan-dar-karwan

nit ye kahta hai ki wo laila ka mahmil kya hua

fikr-e-marham mat karo yaro ye batlao mujhe

jis ke hathon main hua zaKHmi wo qatil kya hua

tha jigar to TukDe TukDe bar mein kyun taDpe hai tu

kyun dila tegh-e-jafa se tu bhi bismil kya hua

ranjishen aisi hazar aapas mein hoti hain dila

wo agar tujh se KHafa hai tu hi ja mil kya hua

apne begane sabhi hain mat uTha mahfil se yar

gar kisi Dhab se hua yan main bhi daKHil kya hua

dekhte hi teri surat mujh ko ai aaina-ru

saKHt hairat hai ki pahlu mein nahin dil kya hua

soch rah rah kar yahi aata hai ai 'jurat' mujhe

KHalq karne se mere KHaliq ko hasil kya hua

(1232) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ghazab BaiThe-biThae Tujh Pe Kya Nazil Hua In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ye Ghazab BaiThe-biThae Tujh Pe Kya Nazil Hua is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ye Ghazab BaiThe-biThae Tujh Pe Kya Nazil Hua for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ye Ghazab BaiThe-biThae Tujh Pe Kya Nazil Hua in PDF.