Ye Qisson Mein Jo Dukh UThane Bandhe Hain

ye qisson mein jo dukh uThane bandhe hain

so ulfat hi ke sab fasane bandhe hain

qafas mein suno lo asiran-e-kohna

ba-har-shaKH-e-nau aashiyane bandhe hain

KHuda jaane is ghar mein kya hai ki jis ke

kai dar ke aage diwane bandhe hain

wo aansu hain apne ki sab ki girah mein

kai motiyon ke KHazane bandhe hain

hawa ye dayar-e-mohabbat ki bigDi

ki sab rahne walon ke shane bandhe hain

mulaqat kya ho rahe Thaur bas hum

ki jaane ke wan to Thikane bandhe hain

lagen kyun na tir-e-nigah dil jigar par

ki us chashm ke ye nishane bandhe hain

falak tere hathon baDe the jo dana

so ab un ke pallon mein dane bandhe hain

ghazab sada-ruon ki hai sadgi bhi

ki phenTe ajab sufiyane bandhe hain

hui ghar mein shadi tumhaare to aisi

ki jis ke jahan mein fasane bandhe hain

na bulwane ka hum ko shikwa hai dekho

bandhan-war ab tak purane bandhe hain

baKHil ab ye munim nahin kyunki 'jurat'

kase jin ke KHwanon mein khane bandhe hain

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Qisson Mein Jo Dukh UThane Bandhe Hain In English By Famous Poet Jurat Qalandar Bakhsh. Ye Qisson Mein Jo Dukh UThane Bandhe Hain is written by Jurat Qalandar Bakhsh. Read famous Poem Ye Qisson Mein Jo Dukh UThane Bandhe Hain for youth and Student by Jurat Qalandar Bakhsh. Free Download Ye Qisson Mein Jo Dukh UThane Bandhe Hain in PDF.