GhaTaon Ki Udasi Pi Raha Hun

ghaTaon ki udasi pi raha hun

main ek gahra samundar ban gaya hun

teri yaadon ke angaron ko aksar

tasawwur ke labon se chumta hun

koi pahchanne wala nahin hai

bhare bazar mein tanha khaDa hun

mera qad kitna uncha ho gaya hai

falak ki wusaton ko napta hun

wo yun mujh ko bhulana chahte hain

ki jaise main bhi koi hadisa hun

badalte mausamon ki Diary se

tere bare mein aksar puchhta hun

mere kamre mein yaaden so rahi hain

main saDkon par bhaTakta phir raha hun

ubharte Dubte suraj ka manzar

bason ki khiDkiyon se dekhta hun

kisi ki yaad ke patton ko 'azar'

hawaon se bacha kar rakh raha hun

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhaTaon Ki Udasi Pi Raha Hun In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. GhaTaon Ki Udasi Pi Raha Hun is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem GhaTaon Ki Udasi Pi Raha Hun for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download GhaTaon Ki Udasi Pi Raha Hun in PDF.