Humne Jab Koi Bhi Darwaza Khula Paya Hai

hum ne jab koi bhi darwaza khula paya hai

kitni guzri hui baaton ka KHayal aaya hai

qafila dard ka Thahrega kahan ham-safaro

koi manzil hai na basti na kahin saya hai

ek sahma hua sunsan gali ka nukkaD

shahr ki bhiD mein aksar mujhe yaad aaya hai

yun liye phirta hun TuTe hue KHwabon ki salib

ab yahi jaise meri zist ka sarmaya hai

shahr mein ek bhi aawara nahin ab ke baras

mausam-e-lala-o-gul kaisi KHabar laya hai

un ki TuTi hui diwar ka saya 'azar'

dhup mein kyun mere hamrah chala aaya hai

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Jab Koi Bhi Darwaza Khula Paya Hai In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Humne Jab Koi Bhi Darwaza Khula Paya Hai is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Humne Jab Koi Bhi Darwaza Khula Paya Hai for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Humne Jab Koi Bhi Darwaza Khula Paya Hai in PDF.