Mujhse Ab Tak Ye Gila Hai Mere Gham-KHwaron Ko

mujh se ab tak ye gila hai mere gham-KHwaron ko

kyun chhua main ne teri yaad ke angaron ko

zehn o dil hashr ke suraj ki tarah jalte hain

jab se chhoDa hai tere shahr ki diwaron ko

aaj bhi aap ki yaadon ke muqaddas jhonke

chheD jate hain mohabbat ke gunahgaron ko

aarzu soch taDap dard kasak gham aansu

hum se kya kya na mila hijr ke bazaron ko

tere jalte hue honTon ki hararat na mili

meri tanhai ke bhige hue ruKHsaron ko

tum ko mahaul se ho jaegi nafrat 'azar'

itne nazdik se dekha na karo yaron ko

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Ab Tak Ye Gila Hai Mere Gham-KHwaron Ko In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Mujhse Ab Tak Ye Gila Hai Mere Gham-KHwaron Ko is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Mujhse Ab Tak Ye Gila Hai Mere Gham-KHwaron Ko for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Mujhse Ab Tak Ye Gila Hai Mere Gham-KHwaron Ko in PDF.