Raat Ke Dasht Mein Phaila Hua SannaTa Hun

raat ke dasht mein phaila hua sannaTa hun

apne sae se bichhaDne ki saza pata hun

main kabhi apne liye ghair nahin tha itna

aaina dekh ke kal raat bahut roya hun

tum se milne ki KHushi hai na bichhaDne ka malal

KHud-farebi ke ab is moD pe aa pahuncha hun

jab se ek KHwab ki tabir mili hai mujh ko

main har ek KHwab ki tabir se ghabraata hun

koi milta hi nahin aankh milane wala

main tere shahr mein suraj ki tarah tanha hun

zindagi ka koi maqsad hi nahin hai 'azar'

aur main hun ki zarurat ki tarah zinda hun

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ke Dasht Mein Phaila Hua SannaTa Hun In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Raat Ke Dasht Mein Phaila Hua SannaTa Hun is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Raat Ke Dasht Mein Phaila Hua SannaTa Hun for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Raat Ke Dasht Mein Phaila Hua SannaTa Hun in PDF.