Tanhai Ki Gali Mein Hawaon Ka Shor Tha

tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha

aankhon mein so raha tha andhera thaka hua

sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya

tha kitna dil-KHarash udasi ka qahqaha

yun bhi hua ki shahr ki saDkon pe bar-ha

har shaKHs se main apna pata puchhta phira

barson se chal raha hai koi mere sath sath

hai kaun shaKHs us se main ek bar puchhta

dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni

aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya

chhoDi hai un ki chah to ab lag raha hai yun

jaise main itne roz andheron mein qaid tha

main ne zara si baat kahi thi mazaq mein

tum ne zara si baat ko itna baDha liya

kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan

main band khiDkiyon ki taraf dekhta raha

'azar' ye kis ki samt baDhe ja rahe hain log

is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanhai Ki Gali Mein Hawaon Ka Shor Tha In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Tanhai Ki Gali Mein Hawaon Ka Shor Tha is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Tanhai Ki Gali Mein Hawaon Ka Shor Tha for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Tanhai Ki Gali Mein Hawaon Ka Shor Tha in PDF.