Duniya Mein Kuchh Apne Hain Kuchh Begane Alfaz

duniya mein kuchh apne hain kuchh begane alfaz

kis ko itni fursat hai jo pahchane alfaz

reg-e-alamat mein bhi jal kar pa na sake mafhum

sahra-e-mani mein bhi bhaTke anjaane alfaz

dasht-e-azal se dasht-e-abad tak chhan chuka mein KHak

aur kahan le jaenge ab bhaTkane alfaz

be-mani mahaul mein rah kar zehn hua mauf

mujh ko bhi pagal kar denge diwane alfaz

aksar aadhi raat mein le kar kuchh pathrile KHwab

shisha-e-zehn se aa jate hain Takrane alfaz

sher-o-suKHan ke mai-KHane ka main hun ek mai-KHwar

mere liye baada hai taKHayyul paimane alfaz

'kaif' kabhi ek sher mein Dhalna hota hai dushwar

aur kabhi KHud ban jate hain afsane alfaz

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Kuchh Apne Hain Kuchh Begane Alfaz In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Duniya Mein Kuchh Apne Hain Kuchh Begane Alfaz is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Duniya Mein Kuchh Apne Hain Kuchh Begane Alfaz for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Duniya Mein Kuchh Apne Hain Kuchh Begane Alfaz in PDF.