Ek Sanp Mujhko Chum Ke Tiryaq De Gaya

ek sanp mujh ko chum ke tiryaq de gaya

lekin wo apne sath mera zahr le gaya

akasr badan ki qaid se aazad ho ke bhi

apna hi aks dur se main dekhne gaya

duniya ka har libas pahanna paDa use

ek shaKHs jab nikal ke mere jism se gaya

aisi jagah ki maut bhi Dar jae dekh kar

main KHud ko zindagi se bahut dur le gaya

mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun

jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya

kitni subuk si aaj mere ghar ki sham thi

main filon ka bojh uThae hue gaya

ashaar ka nuzul hai KHali dimagh mein

ai 'kaif' tu na jaane kahan chhoDne gaya

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Sanp Mujhko Chum Ke Tiryaq De Gaya In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Ek Sanp Mujhko Chum Ke Tiryaq De Gaya is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Ek Sanp Mujhko Chum Ke Tiryaq De Gaya for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Ek Sanp Mujhko Chum Ke Tiryaq De Gaya in PDF.