Hum Aaj Kuchh Hasin Sarabon Mein Kho Gae

hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae

aankhen khulin to jagte KHwabon mein kho gae

hum safha-e-hayat se jab be-nishan hue

lafzon ki ruh ban ke kitabon mein kho gae

aaina-e-bahaar ke kuchh aks-e-muzmahil

KHushbu ka rang pa ke gulabon mein kho gae

dar-asl barshgal ke tum aaftab the

barsat jab hui to sahabon mein kho gae

nikle the jo bhi aaj talash-e-sawab mein

wo zindagi ke saKHt azabon mein kho gae

dil ko thi ek shahr-e-tamanna ki justuju

lekin hum aarzu ke KHarabon mein kho gae

jab masala hayat ka kuchh hal na ho saka

hum 'kaif' falsafe ki kitabon mein kho gae

(608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aaj Kuchh Hasin Sarabon Mein Kho Gae In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Hum Aaj Kuchh Hasin Sarabon Mein Kho Gae is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Hum Aaj Kuchh Hasin Sarabon Mein Kho Gae for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Hum Aaj Kuchh Hasin Sarabon Mein Kho Gae in PDF.