Nikli Jo Aaj Tak Na Kisi Ki Zaban Se

nikli jo aaj tak na kisi ki zaban se

Takra rahi hai baat wahi mere kan se

sota raha main KHauf ki chadar lapeT kar

aaseb chiKHte rahe KHali makan se

akasr main ek zahr bujhe tir ki tarah

nikla hun hadsat ki tirchhi kaman se

phaila hua hai hadd-e-nazar tak sukut-e-marg

aawaz de raha hai koi aasaman se

tanhaiyon ko saunp ke tarikiyon ka zahr

raaton ko bhag aae hum apne makan se

mumkin hai KHub khul ke ho guft-o-shunid aaj

wo bhi KHafa hai hum bhi hain kuchh bad-guman se

ai 'kaif' jin ko bughz nai shaeri se hai

wo bhi tere kalam ko paDhte hain dhyan se

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikli Jo Aaj Tak Na Kisi Ki Zaban Se In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Nikli Jo Aaj Tak Na Kisi Ki Zaban Se is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Nikli Jo Aaj Tak Na Kisi Ki Zaban Se for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Nikli Jo Aaj Tak Na Kisi Ki Zaban Se in PDF.