Sard Jazbe Bujhe Bujhe Chehre

sard jazbe bujhe bujhe chehre

jism zinda hain mar gae chehre

aaj ke daur ki alamat hain

falsafi zehn sochte chehre

sail-e-gham se bhi saf ho na sake

gard-alud malgaje chehre

yaKH-zada soch ke darichon mein

kis ne dekhe hain kanpte chehre

ek baras bhi abhi nahin guzra

kitni jaldi badal gae chehre

main ne aksar KHud apne chehre par

dusron ke saja liye chehre

wo to nikle bahut hi bad-surat

'kaif' dekhe the jo saje chehre

(647) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sard Jazbe Bujhe Bujhe Chehre In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Sard Jazbe Bujhe Bujhe Chehre is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Sard Jazbe Bujhe Bujhe Chehre for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Sard Jazbe Bujhe Bujhe Chehre in PDF.