Sare Din Dasht-e-tajassus Mein BhaTak Kar So Gaya

sare din dasht-e-tajassus mein bhaTak kar so gaya

sham ki aaghosh mein suraj bhi thak kar so gaya

aaKHir-e-shab main bhi kha kar KHwab-awar goliyan

chand lamhe nashsha-e-gham se bahak kar so gaya

ye sukut-e-sham ye hangama-e-zehn-e-bashar

ruh hai bedar lekin jism thak kar so gaya

aaKHir is daur-e-pur-ashob ka har aadmi

KHwab-e-mustaqbil ke jangal mein bhaTak kar so gaya

chand din gulshan mein naghmat-e-masarrat chheD kar

shaKH-e-gham par ruh ka panchhi chahak kar so gaya

aaKHirash sare chaman ko de ke husn-e-zindagi

maut ke bistar pe har ghuncha mahak kar so gaya

zindagi bhar ab andheri raat mein hai jagna

ab to qismat ka sitara bhi chamak kar so gaya

paikar-e-alfaz mein ek aag dahkata hua

kaghzi sahra mein ek shoala bhaDak kar so gaya

'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai

jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare Din Dasht-e-tajassus Mein BhaTak Kar So Gaya In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Sare Din Dasht-e-tajassus Mein BhaTak Kar So Gaya is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Sare Din Dasht-e-tajassus Mein BhaTak Kar So Gaya for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Sare Din Dasht-e-tajassus Mein BhaTak Kar So Gaya in PDF.