Suraj Aankhen Khol Raha Hai Sukhe Hue DaraKHton Mein

suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein

sae rakh bane jate hain jite hue daraKHton mein

aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se

dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein

KHamoshi bhi KHauf-zada hai aasebi aawazon se

sannaTe bhi kanp rahe hain sahme hue daraKHton mein

tanhai ki dulhan apni mang sajae baiThi hai

virani aabaad hui hai ujDe hue daraKHton mein

aaj to sare bagh mein KHwab-e-marg ka nashsha tari hai

lekin koi jag raha hai soe hue daraKHton mein

kaun musibat ke aam mein sath kisi ka deta hai

chand parinde chiKH rahe hain girte hue daraKHton mein

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Aankhen Khol Raha Hai Sukhe Hue DaraKHton Mein In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Suraj Aankhen Khol Raha Hai Sukhe Hue DaraKHton Mein is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Suraj Aankhen Khol Raha Hai Sukhe Hue DaraKHton Mein for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Suraj Aankhen Khol Raha Hai Sukhe Hue DaraKHton Mein in PDF.