Suraj Ka Aatish-kada

sochta hun

waqt ki gardan pakaD kar

reshmi scarf ka phanda laga kar

khinch lun

aur itni zor se chiKHun

zamin se

aasman tak

sirf meri chiKH hi ka shor gunje

waqt ki marti hui aawaz koi sun na pae

sochta hun

wusat-e-afaq mein parwaz kar ke

raat ki aankhon mein tariki ka parda Dal kar main

chand taron ko chura laun zamin par

aur thoDi der

bachchon ki tarah KHush ho ke khelun

khelne se bhi jab apna dil na bahle

ek patthar par paTaKH kar

har khilaune ko main chakna-chur kar dun

sochta hun

aasman se chhin kar

jalte hue suraj ki thaali

ek kashti ki tarah

gahre samundar mein chalaun

aur us par sari duniya ko biTha kar

gharq kar dun

sochta hun

sochte hi sochte

main KHud hi ek din

soch ke aatish-kada mein jal na jaun

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Ka Aatish-kada In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Suraj Ka Aatish-kada is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Suraj Ka Aatish-kada for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Suraj Ka Aatish-kada in PDF.