Jism Par Baqi Ye Sar Hai Kya Karun

jism par baqi ye sar hai kya karun

dast-e-qatil be-hunar hai kya karun

chahta hun phunk dun is shahr ko

shahr mein in ka bhi ghar hai kya karun

wo to sau sau martaba chahen mujhe

meri chahat mein kasar hai kya karun

panw mein zanjir kanTe aable

aur phir hukm-e-safar hai kya karun

'kaif' ka dil 'kaif' ka dil hai magar

wo nazar phir wo nazar hai kya karun

'kaif' mein hun ek nurani kitab

paDhne wala kam-nazar hai kya karun

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Par Baqi Ye Sar Hai Kya Karun In English By Famous Poet Kaif Bhopali. Jism Par Baqi Ye Sar Hai Kya Karun is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem Jism Par Baqi Ye Sar Hai Kya Karun for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download Jism Par Baqi Ye Sar Hai Kya Karun in PDF.