Ye Aansu Be-sabab Jari Nahin Hai

ye aansu be-sabab jari nahin hai

mujhe rone ki bimari nahin hai

na puchho zaKHm-ha-e-dil ka aalam

chaman mein aisi gul-kari nahin hai

bahut dushwar samjhana hai gham ka

samajh lene mein dushwari nahin hai

ghazal hi gungunane do ki mujh ko

mizaj-e-talKH-guftari nahin hai

chaman mein kyun chalun kanTon se bach kar

ye aain-e-wafadari nahin hai

wo aaen qatl ko jis roz chahen

yahan kis roz tayyari nahin hai

(1247) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aansu Be-sabab Jari Nahin Hai In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Ye Aansu Be-sabab Jari Nahin Hai is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Ye Aansu Be-sabab Jari Nahin Hai for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Ye Aansu Be-sabab Jari Nahin Hai in PDF.