Jin AnkhDiyon Mein Na Tha Kuchh Shararaton Ke Siwa

jin ankhDiyon mein na tha kuchh shararaton ke siwa

un ankhDiyon mein nahin kuchh bhi hasraton ke siwa

labon pe mauj-e-tabassum ka ahd bit gaya

labon pe aaj nahin kuchh shikayaton ke siwa

wo anjuman ka tasawwur kare to kaise kare

jise nasib na ho kuchh bhi KHalwaton ke siwa

ek aaina hun junun-o-KHirad ka aaina

meri nazar mein nahin kuchh bhi hairaton ke siwa

usi se puchh mere intizar ka aalam

jise na kuchh bhi mayassar ho fursaton ke siwa

gudaz-e-saghar-o-paimana kaun samjha hai

mere siwa mere dil ki nazakaton ke siwa

kami usi mein tamannaen jalwa-gar thin 'kamal'

kuchh aaj dil mein nahin hai jarahaton ke siwa

(650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin AnkhDiyon Mein Na Tha Kuchh Shararaton Ke Siwa In English By Famous Poet Kamal Ahmad Siddiqi. Jin AnkhDiyon Mein Na Tha Kuchh Shararaton Ke Siwa is written by Kamal Ahmad Siddiqi. Read famous Poem Jin AnkhDiyon Mein Na Tha Kuchh Shararaton Ke Siwa for youth and Student by Kamal Ahmad Siddiqi. Free Download Jin AnkhDiyon Mein Na Tha Kuchh Shararaton Ke Siwa in PDF.