Jo Bazar Chahakta Tha Har Sham

jo bazar chahakta tha har sham

aaj kuchh sunsan sa lag raha hai

gol-gappe ki dukan ka Thela

jalebi wale ke chulhe par se bartan

chae pe chuskiyan lete log

koi bhi aaj nazar nahin aa raha

naliyon mein lal rang bah raha hai

pata chala rang nahin

pata chala rang nahin

ye hindu musalman ka KHun hai

kal dharm ke nam par fasad hua

sunta hun

wo jalebi wala miyan tha

gol-gappe wala hindu tha

mujhe kaise pata chalta

jalebiyon ne kabhi azan nahin paDhi

gol-gappe ne kabhi gita nahin sunai

jo bazar chahakta tha har sham

aaj kuchh sunsan sa lag raha hai

(580) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bazar Chahakta Tha Har Sham In English By Famous Poet Kamal Upadhyay. Jo Bazar Chahakta Tha Har Sham is written by Kamal Upadhyay. Read famous Poem Jo Bazar Chahakta Tha Har Sham for youth and Student by Kamal Upadhyay. Free Download Jo Bazar Chahakta Tha Har Sham in PDF.