Har Chand Apna Haal Na Humse Bayan Hua

har chand apna haal na hum se bayan hua

ye harf-e-be-wajud magar dastan hua

mana ki hum pe aaj koi mehrban hua

dil kanpta hai ye bhi agar imtihan hua

jo kuchh main kah chuka hun zara us pe ghaur kar

jo kuchh bayan hua hai ba-mushkil bayan hua

ab tum ko jis KHulus ki hum se umid hai

muddat hui wo nazr-e-dil-e-dostan hua

tufan-e-zindagi mein zarurat thi jab teri

mujh ko har ek mauj pe tera guman hua

aadab-e-qaid-o-band ne badla ajib rang

kunj-e-qafas ka nam bhi ab aashiyan hua

aansu nikal paDe hain KHushi mein tere huzur

kis tamkanat ke sath ye dariya rawan hua

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Chand Apna Haal Na Humse Bayan Hua In English By Famous Poet Karrar Noori. Har Chand Apna Haal Na Humse Bayan Hua is written by Karrar Noori. Read famous Poem Har Chand Apna Haal Na Humse Bayan Hua for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Har Chand Apna Haal Na Humse Bayan Hua in PDF.