Mana Ki Hum Is Daur Ka Hasil To Nahin The

mana ki hum is daur ka hasil to nahin the

na-qadri-e-duniya ke bhi qabil to nahin the

aata to sahi baad-e-sahar ka koi jhonka

hum KHas kisi phul pe mail to nahin the

har shaKHs ne naqsh-e-kaf-e-pa hum ko banaya

har shaKHs ki hum rah mein hail to nahin the

do ghunT hi pi lete agar koi pilata

hum rind-e-KHush-auqat the sail to nahin the

kya baat hai 'nuri' jo hai ab lahje mein narmi

tum narmi-e-guftar ke qatil to nahin the

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mana Ki Hum Is Daur Ka Hasil To Nahin The In English By Famous Poet Karrar Noori. Mana Ki Hum Is Daur Ka Hasil To Nahin The is written by Karrar Noori. Read famous Poem Mana Ki Hum Is Daur Ka Hasil To Nahin The for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Mana Ki Hum Is Daur Ka Hasil To Nahin The in PDF.