Ghaaliban Waqt Ki Kami Hai Yahan

ghaaliban waqt ki kami hai yahan

warna har chiz didani hai yahan

sare raste idhar hi aate hain

ye jo aabaad ek gali hai yahan

ye hawa yun hi KHak chhanti hai

ya koi chiz kho gai hai yahan

zindagi hi mera asasa hai

wo bhi taqsim ho rahi hai yahan

kyun andhera nazar nahin aata

kaun si aisi raushni hai yahan

maut kasa uThae phirti hai

aur tahi-dast zindagi hai yahan

mere andar ka shor hai mujh mein

warna bahar to KHamushi hai yahan

shahr apna dikhai deta hai

waise har shaKHs ajnabi hai yahan

kaun si shai hai daimi 'ghaer'

kaun si baat aaKHiri hai yahan

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaaliban Waqt Ki Kami Hai Yahan In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Ghaaliban Waqt Ki Kami Hai Yahan is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Ghaaliban Waqt Ki Kami Hai Yahan for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Ghaaliban Waqt Ki Kami Hai Yahan in PDF.