Har Sham Dilati Hai Use Yaad Hamari

har sham dilati hai use yaad hamari

itni to hawa karti hai imdad hamari

kuchh hain bhi agar hum to giraftar hain apne

zanjir nazar aati hai aazad hamari

ye shahr nazar aata hai ham-zad hamara

aur gard nazar aati hai fariyaad hamari

ye rah bata sakti hai hum kaun hain kya hain

ye dhul suna sakti hai rudad hamari

hum gosha-nashinon se hai manus kuchh aisi

jaise ki ye tanhai ho aulad hamari

achchha hai ki diwar ke sae se rahen dur

paD jae na diwar pe uftad hamari

(677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Sham Dilati Hai Use Yaad Hamari In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Har Sham Dilati Hai Use Yaad Hamari is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Har Sham Dilati Hai Use Yaad Hamari for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Har Sham Dilati Hai Use Yaad Hamari in PDF.