KHayal-o-KHwab Mein Aae Hue Se Lagte Hain

KHayal-o-KHwab mein aae hue se lagte hain

hamein ye din bhi bitae hue se lagte hain

tere huzur khaDe hain jo sar jhukae hue

zamin ka bojh uThae hue se lagte hain

diye hon phul hon baadal hon ya parinde hon

ye sab hawa ke satae hue se lagte hain

hamare dil ki tarah shahr ke ye raste bhi

hazar bhed chhupae hue se lagte hain

har ek rah-naward o shikasta-pa ke liye

ye peD hath baDhae hue se lagte hain

har aan runuma hote ye waqiye ghaer

hamara dhyan baTae hue se lagte hain

(654) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-o-KHwab Mein Aae Hue Se Lagte Hain In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. KHayal-o-KHwab Mein Aae Hue Se Lagte Hain is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem KHayal-o-KHwab Mein Aae Hue Se Lagte Hain for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download KHayal-o-KHwab Mein Aae Hue Se Lagte Hain in PDF.