Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_be3d2b6a47f775b60e9d46c3520df919, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nazar Mili To Nazaron Mein BanT Di Maine - Kashif Husain Ghair Poetry In English - Darsaal

Nazar Mili To Nazaron Mein BanT Di Maine

nazar mili to nazaron mein banT di main ne

ye raushni bhi sitaron mein banT di main ne

bas ek sham bachi thi tumhaare hisse ki

magar wo sham bhi yaron mein banT di main ne

janab qarz chukaya hai yun anasir ka

ki zindagi inhi chaaron mein banT di main ne

pukarte the barabar mujhe safar ke liye

mata-e-KHwab sawaron mein banT di main ne

hawa mizaj tha karta bhi kya samundar ka

ek ek lahr kinaron mein banT di main ne

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Mili To Nazaron Mein BanT Di Maine In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Nazar Mili To Nazaron Mein BanT Di Maine is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Nazar Mili To Nazaron Mein BanT Di Maine for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Nazar Mili To Nazaron Mein BanT Di Maine in PDF.