Ye Hai Meri Nazron Ki Munajat Ka Aalam

ye hai meri nazron ki munajat ka aalam

zarre bhi dikhate hain samawat ka aalam

pur-nur tere husn se aaghosh-e-tasawwur

duri mein bhi hasil hai mulaqat ka aalam

ima ka hai faizan ki ehsas ka ehsan

ek ek jafa mein hai mudaraat ka aalam

jalwon ki ye kasrat hai ki hairan hain aankhen

aaine dikhate hain hijabaat ka aalam

dil par nahin qabu to zaban lakh ho bas mein

nazron se jhalakta hai KHayalat ka aalam

har mauj-e-nafas un ki mahak se hai moattar

pinhan hai taghaful mein inayat ka aalam

kya zikr-e-suKHan un ki KHamoshi mein bhi 'kaukab'

angDaiyan leta hai kinayat ka aalam

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Hai Meri Nazron Ki Munajat Ka Aalam In English By Famous Poet Kaukab Shahjahanpuri. Ye Hai Meri Nazron Ki Munajat Ka Aalam is written by Kaukab Shahjahanpuri. Read famous Poem Ye Hai Meri Nazron Ki Munajat Ka Aalam for youth and Student by Kaukab Shahjahanpuri. Free Download Ye Hai Meri Nazron Ki Munajat Ka Aalam in PDF.