Hum Dil Ki Tabahi Ka Ye Saman Na Karenge

hum dil ki tabahi ka ye saman na karenge

is ghar mein kisi aur ko mehman na karenge

ghabra ke kabhi chaak gireban na karenge

badnam tujhe fasl-e-bahaaran na karenge

mishal ko charagh-e-tah-e-daman na karenge

jo dagh hain sine mein wo pinhan na karenge

Takraenge tere liye har mauj-e-bala se

sahil pe khaDe shikwa-e-tufan na karenge

ai wo ki teri yaad hai taskin-e-dil-o-jaan

haalat hamein kuchh bhi pareshan na karenge

ye dard ki hai teri mohabbat ki amanat

mar jaenge is dard ka darman na karenge

ai dost mohabbat ki nazakat hai nazar mein

hum tujh ko kisi taur pashiman na karenge

dil mein hai teri chah to ai jaan-e-tamanna

hum aur kisi chiz ka arman na karenge

(638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Dil Ki Tabahi Ka Ye Saman Na Karenge In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Hum Dil Ki Tabahi Ka Ye Saman Na Karenge is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Hum Dil Ki Tabahi Ka Ye Saman Na Karenge for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Hum Dil Ki Tabahi Ka Ye Saman Na Karenge in PDF.